Jahan se wapasi mumkin nahin
chalo mujhko wahan lekar chalo
jahan se sard hathon ki hatheli
laal hojaye
jahan lambe darakhton ke saron pe
dard na ho
jahan pe shaam ko hum chaand ko
hathon mein thaamein
aur jahan se laut ke aaney ki koi
rah na ho
kahin par mandiron ki ghantiyon ko main
narm aghosh mein samtun kahin tum
har azaan ko bandhlo wakt ki tasbeeh ke andar
chalo lekar mujhey wahan par
haan jahan se wapasi mumkin nahin
Anji 4th Oct 2008
Comments
-
i really enjoyed this nazam...bus aap yooNhi likhtey rahiey....thank you for sharing....

